|
|
9/10/07 |
suna hai nazdeekiyaan ehsaas dilati hain.. dooriyan betaabi badhati hain.. par, jab paas hote hain woh to hum betaab rehte hain… door jaane par kyon unka ehsaas karte hain… ===================================
samandar ko tha garoor gehraayi par apni.. aasmaan ko tha garv oonchaayi par apni… sharm se zaar zaar ho gaye dono….
jab unhe bataayi humne dosti apni Dil ki ye aarzoo thi koyi dilruba mile Dekhen hamein naseeb se ab, apne kya mile Ab tak to jo bhi dost mile, bewafa mile
Hamne udaasiyon mein guzaari hai zindagi Lagta hai dar fareb bewafa se kabhi kabhi Aisa na ho ke zakhm koyi phir naya mile Ab tak to jo bhi dost mile bewafa mile
Aap to manzil ko mushkil samajte he hum aap ko manzil samajte he, bada fark he apke or hamare nazariye me aap hume sapna or hum aap ko apna samajte hai
Bolti hai dosti chup rehta hai pyar, hasati hai dosti rulaata hai pyar, milati hai dosti judaa karta hai pyar, phir bhi kyun dosti chodkar log karte hai pyar? |
posted by Unknown @ 7:37 AM   |
|
|
|
|